Salatul Hajat Ki Namaz Ka Tarika - Waqt or Niyat

0
Assalamualaikum Mere Pyaare Bhaio or Behno. Is article mein main aapko bataunga ki Salatul Hajat Ki Namaz Ka Tarika Kya Hai or Salatul Hajat Ki Namaz Kaise Padhte Hain, Kyun Padhni Chahiye Or Kis Waqt Padhni Chahiye.
Toh aap sabhi se request hai ki aap is post ko last tak zarur padhen inshallah aapko Bohat kuch sikhne ko milega or bohat he fayda bhi hoga.

Salatul Hajat Ki Namaz Ka Tarika


Salatul Hajat Ki Namaz Ka Waqt:

Aap Salatul Hajat Kisi bhi waqt padhsakte hein siwaye makrooh waqt ke,

  • Jab Suraj Nikal Raha Ho Us waqt se lekar Suraj nikalne ke 20 minutes Tak makrooh waqt hai.
  • Jab Suraj sar ke uper ko jisko hum jawal ka waqt kehte hain wo waqt bhi makrooh waqt hai
  • Jab Suraj dubne wala hi usse 20 minutes pehle wo bhi makrooh waqt hai.


Salatul Hajat Ki Namaz Ka Tarika:

Hadees e paak ka mafhoom hai ki "Hazrat Abdullah bin abi awfee (رضی اللہ عنہا) se riwayat hai ki Huzoor (ﷺ) ne irshad farmaya ki: Jiss insan ko ALLAH kareem se koi sa bhi zarurat pesh aajaye ya fir kisi insaan se koi bhi zarurat pesh aaye toh usko chahiye ke woh ache se wuzu kare aur (2) rakaat nafl adaa karay "Salatul Haajat" ki niyat se aur phir salam pher kar ALLAH kareem ki hamd o sana kare matlab uski ta'areef kare, phir huzoor par Drood e paak parhe aur phir ye dua'a parhe. (Tirmidhi aur ibn maza).


Salatul Hajat Ki Namaz Ki Dua (In Arabic)

لا إله إلا اللهُ الْحَلِيمُ الْكَرِيمُ - سُبحَانَ اللهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَلَمِينَ اسْتَلكَ مُوْجِبَاتِ رَحْتِكَ وَعَذَائِمَ مَغْفِرَتِكَ. وَالْغَنِيمَة مِنْ كُلِّ بِرٍ - وَالسَّلَامَةَ مِنْ كُلِّ إِثْمٍ لا تدع لي ذنبا الأَغَفَرْتَهُ - وَلَا هَنَّا إِلَّا فَرَجْتَهُ وَلَا دَيْنًا إِلا قَضَيْتَهَا . وَلَا حَاجَةٌ مِّنْ حَوَانَ الدُّنْيَا وَلا خِرَةِ - هِيَ لَكَ رِضا إِلا قَضَيْتَهَا يَا أَرْحَمَ الرَّاحِمِينَ.

Salatul Hajat Ki Namaz Ki Dua in Urdu :

La ilaha ilallahu al haleemul kareem. Subhan ALLAH hi Robbil arshil a'azeem. Wal hamdu lillah hi rabbil Aa'alamin Ass aluka mojibaati rahmatika wa azaaima maghfiratika wal ghanimata min kulli birriun was salamata min kulli ismin la tad ali zanban illa ghafaratahu wala hamman illa farajatahu wala deenan illa qazaitaha wala hajatam min hawajid duniya wal aakhirah hiya laka rizan illa qazaitaha ya ar hamar raahemeen.


Salatul Hajat Ki Namaz Ki DUA'A KA TARJUMA

Tarjuma: ALLAH azzoajl ke siwa koi ma'abood nahi jo haleem o kareem hai, Paak hai ALLAH azzoajl maalik hai arsh e Aa'azeem ka, hamd hai ALLAH azzoajl ke liye jo RAB hai tamam jahaan ka, mai tujhse teri rehmat ke asbab maangta/maangti hoon. Aur talab karta/karti hoon Teri bakhshish ke saman ka, aur har neki se ghaneemat aur har gunah se salamti ko, mere liye koi gunah bagair maghfirat na chhor, aur har gumm ko door kar de aur jo hajat teri riza ke muwafiqq hai use poora karde...aye sab mehrbanon se zyada mehraban.


ALLAH ki hamd o sana kaise karein?

Haathon ko uthayae dua'a ke liye aur phir yu kare.

Sana ka matlab hota hai ta'areef . ALLAH kareem ki ta'areef kijiye uski shaan uski ta'areef mein

  • Sureh fateha parhiye
  • Sureh ikhlaas parhiye
  • Teesra kalma parhiye

Ye sab mein ALLAH kareem ki ta'areef hi ta'areef hai.

Apni zuban mein aise ta'areef kijiye:

  • Ya ALLAH tu toh raheem hai maula bura/buri toh mai hoon.

  • Tu toh gunaahon ke ba wujood bhi naimaton par naimatein ataa kar raha hai tujhse zyada koi mehrban nahi.

  • Ya ALLAH tu toh bigri ko banane ki qudrat rakhta hai...tu toh na mumkin ko mumkin karne par qaadir hai.

  • Tu sirf Kun kehta hai aur mua'amlat sanwar jaate hain.

  • Teri shaan sabse buland o baala hai tu "Huwallahu shaiyun qadeer" hai... behsak tu har har cheez par qaadir hai.

  • Ya ALLAH tune hi moosa alehissalam ke liye samandar ke beech mein rasta banaya thha tu mere liye bhi rasta banade.

  • Ya ALLAH paak mai mere sare mua'amlat tere hawale karta/karti hoon behsak tu Behtar faisle karne wala hai mere haqq mein behtari farma.

  • Ya ALLAH tu toh rahman hai teri sifat raham karne ki hai mere haal par raham farma.

Jiss maqsad ke liye maine ye Namaz e hajat parhi hai agar mere haq mein ye behtar hai toh mujhe Kamyabi Naseeb farma meri fariyad ko sunn le mere rabbe kareem.

"Sawab Ki Niyat Se Is Post Ko Apne Sabhi Bhai,Behno,Doston or Rishtedaro Ko Share Karke Apne Nekio Me Izaafa Karen"


Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)
To Top