Allah ke Nabi ((ï·º)) ke barey me Allah Rabbul Izzat Quran me khud Gawahi deta hai ke:
"Mere Nabi ((ï·º)) is kitab ke nuzul se pahle na kuch padh sakte they aur na likh saktey they, agar inhe padhna likhna aata tou kafir kehtey ke Nabi ne khud Quran bana liya"[Quran 29:48](Khulasa).
Quran kaise Nazil hua?
Allah ke Nabi ((ï·º)) farmatey hai ke "Jibrayeel Alaihi Salam ko Allah ta'ala jab kabhi hukm detey tab jibrayeel (Alaihi Salam) Quran ki Aayte lekar mere paas aatey." Mafhum-e-Hadees.
Quran kab Naazil hua?
Allah Rabbul Izzat ne Quran me farmaya:
- Ramzan wo Mahina Hai Jisme Quran ko humne nuzool kiya. "[Quran 2:185]
- Ramzan ke mahine me kab nazil hua
- Humne is Quran ko Shabe Qadr me nazil kiya"[Quran 97:1]
Quran kis par Nazil hua?
Allah Taaal ne Quran-e-Kareem Apne Aakhri Nabi Muhammad ((ï·º)) par Nazil kiya. iske bare me Bukhari Sharif ki jild number 6 me beshumar Quran se Mutalik Aahades aati hai.
Aaj aksar hum me ek Galatfehmi hai ke Quran 30 paaro me nazil hua. kyunki Arabi me "Paa" (Ù¾) nahi aata, ye urdu aur farsi lafz hai.
Tou ye jo 114 Surah hai, inko Allah Ta'ala ne 23 Saal (years) Nabi ((ï·º)) ki hayat me alag alag mouko par thodi thodi aayate karke nazil farmaya. Jibrayeel (Alaihi Salam) aatey, aap par aayate nazil karte, aapko yaad karwatey jiske talluk se
Quran me hi Allah ne farmaya:
Aye mere Nabi! iski tilawat me zaldbaji se apni Zuban mat pheriye, Hum aapko iski Qiraat karayenge, iske maney samjhayenge aur isey jama kar ke aapko de dengey." [Quran 75:16-19](khulasa).
Tou Nabi-e-Kareem ((ï·º)) ko Jibrayeel (Alaihi Salam) ke jarye Allah Rabbul izzat Quraan ki aayte sikhatey. fir Ek Ramzan se agle saal ke Ramzan tak jitna Quraan Nabi ((ï·º)) par nazil ho jata utna pura hissa Jibrayeel (Alaihi Salam) aapse baar baar suntey, taaki Hifz accha ho jaye.
Quraan ka jitna hissa jo Nabi-e-Kareem ((ï·º)) par Nazil hota utna Aap Sahaba ko boltey. Sahaba unke Zamane me jo kuch bhi likhne ke Wasail hua karte they unpar wo aayte likh letey, jaise Patthar par, Khajur ke Darkhtto ke patto par jis tarha bhi likh sakte they likh liya karte aur usey apne gharo me mehfuz rakh detey. is tarha alag alag mouko par Quran Nazil hua.
Allah ke Nabi ((ï·º)) ke is dunia se rukhsati ke baad Abu Baqar Siddhik (R.A.) Muslamano ke pahle khalifa baney. Aapki khilafat me "Muselima Kajjab" naam ke ek shakhs ne Naboowat ka dawa kiya. Hazrate Abu Baqar Siddhik ne uss Kajjab se jihad kiya, uss jung me takreeban 70 Sahaba Shahid huye jo Huffaze Quraan they.
Tou Hazrate Umar (R.A) Hazrate Abu Baqar Siddhik (R.A.) ke paas aaye aur kaha ke:
"Aye Ameer-ul-Mominin agar huffaz is tarha khatam ho jayenge tou Quran alag alag Gharo me alag alag hisso me rakhey hue hai jisey samjhne me logon ke liye pareshani hogi, lihaja hum ek kaam karte hai Aap sabse kahiye ke jo bhi Quraan ka hissa unhone likha tha wo pura laye, hum Huffaze Quraan ko bithayenge, purey Auraaq ko tarteeb se jama karenge aur jama karke ek jagah seeh denge."
Lihaja waisa hi kiya gaya, ek Nuskha banaya gaya, tou pahli martba Quraan. ne kitab ki shakl li aur isko rakha gaya Ummaha-tul-Mominin Aayesha (R.A.) ke ghar me, fir baad me jab Umar (R.A) Khalifa baney tou uss nuskhe ko laya gaya Umar (R.A) ke ghar.
Quran ke kounse nuskhe jalaye gaye?
Hazrate umar (r.a) ki Shahadat ke baad Hazrate Usman (R.A) ka doure khilafat aaya.
Usman (R.A) ki khilafat me Islam Arab se bahar bhi failta ja raha tha. Iran, Indonesia, Africa isi tarha India tak faiyl raha tha. isi douran jo Gair Arbi log they chunki Arab unki Madri Zubaan (mother tongue) nahi thi lihaja Qiraat karne me galatiya kar rahe they aur apne Qiraat ke hisab se jaisa chahe likh rahe they.
Logon ne Usman (R.A) se shikayat ki ke Quraan ko alag alag tareeke se log padh rahe hai, lihaja aapne kaha ke jiske paas bhi likha hua Quraan hai wo sab laaya jaye, Saare naye likhey Quraan ke nuskhe laye gaye, unn saare Nuskho ko Aag laga kar jala diya gaya.
Aag lagane ka huqm is liye diya kyunki Allah ke Nabi ((ï·º)) ka wajeh irshade mubarak tha ke "kahi agar Quraan likhi hui hai tou usey faado mat, balki dafan karo ya usey aag laga do"
Lihaja unn tamam naye nuskho ko jala diya gaya aur fir wo pehla Nuskha (master copy) jo Hazrat Umar (R.A.) ke mashware par banaya gaya tha usey Hazrate Umar (R.A.) ke ghar se lakar Sahaba se kehkar is nuskhe ki 7 copy banayi gayi.
lekin Hajjaz bin Yusuf ne dekha ke gair arbo ko mushkil ho rahi bagair jer jabar ke. lihaja unhone kaha ke jo tajwid hai uske hisab se Zer Zabar lagayenge. lihaja unhone jer jabar lagwaye aur fir wo copies bhi mashoor ho gaye. lekin jo Tajwid aur Qirat hai ye bilkul usi se hu-ba-hu miltey jultey hai jo Hazrate Usman (R.A.) ke zamane me they.
Aqalmando ke liye Nasihate hai Quran me:
Alahmdulillah! ye Qur'an dunia ki ek hi aisi wahid kitab hai jisey 4 saal ke bacche se lekar 100 saal ka bujurg bhi pura Hifz kar leta hai. is me Allah Rabbul Izzat ne nasihate rakhi hai un logon ke liye jo Aqal rakhtey hai. jiske talluk se Allah Rabbul Izzat ne Quran me hi farmaya aur kaha:
"Aye Nabi ((ï·º))! ye mubarak kitaab hai jisey humne Aapki taraf iss liye nazil kiya ke log iski aayto par gaur kare aur aqalmand is se naseehat hasil kare." [Surah Sad 38:29].
kyunki Aapki khilfat me islami hukumat ke 7 states they, har state ka ek governor tha, lihaja har state ko Usman (R.A.) ne apne khilafat ki seal mangakar ek ek original copy rawana kar di.
Aaj dunia me hum jitney bhi Quraan ke nuskhe dekhtey hai usi Quraane Majid ki copy se baney hue hai. lekin uspar Jer, Jabar nahi they.
Quran me Zer-Zabar kaha se aaye?
Qurane Majid ki un 7 copy me Zer Zabar nahi tha, isiliye kyunki wo Arbiyo ki Madri Zaban (mother tongue) thi. jaise ke Urdu Humare liye bilkul Aam Zuban hai lihaja hume bhi Urdu par Zer Zabar ki jarurat nahi padti.