Bimari Ki Fazilat

0
Bimari Ki Fazilat




Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:

"Jo musibat bhi kisi musalman ko pohochti hai to Allah Ta'ala use us ke gunah ka kuffarah bana dete hain. (Kisi musalman ko) ek kanta bhi agar jism ke kisi hisse me chub jaaye to bhi."

Musalman jab bhi kisi pareshani, beemari, ranj wa malal, takleef aur gum me mubtala ho jaata hai yahan tak ke agar usey koi kanta bhi chub jaaye to Allah Ta'ala use uske gunaho ka kuffarah bana dete hain."

"Jo musalman kisi bhi takleef me giraftaar hota hai to Allah Ta'ala uski wajah se uske gunah is tarah jhaad dete hain jese darkhat ke pattay jhad jaate hain."

"Momin ka bhi ajab haal hai uska sawaab kahi nahi gaya. Ye baat kisi ko hasil nahi hai (momin ke siwa). Agar usko khushi hasil hui to wo shukar karta hai usme bhi sawaab hai aur jo usko nuksaan pohocha to sabr karta hai usme bhi sawaab hai."

BEEMAR KI AYADAT KE LIYE JAANE KA SAWAAB

Rasool Allah (ï·º)ne farmaya:* "Allah Ta'ala qayamat ke din farmaenge:

"Aye Adam ke bete! Mai beemar hua tum ne meri khabar naa li?" Wo kahega: 'Aye Rab! mai Aapki bhala kyun khabar leta? Aap to maalik hain saare jahan ke. Allah Ta'ala farmaenge: "Tum ko maloom nahi tha kya ke mera falah banda beemar hua tha par tum ne uski khabar naa li. Agar tum uski khabar lete to Mujh ko uske nazdeek paate." (Mujhe uski khabar hoti to Mai tumhe uska ajar deta).


"Beemar ko pochne wala (uske makaan par jaa kar) asal me jannat ke bagh me hai jab tak ke wo wapas naa laute."

"Musalman ke haqq dusre musalman par 6 hain" jinme se ek ye hai ke "Jab wo beemar ho to uski ayadat ko jaao."

Meri duaa hai ke Allah Ta'ala har beemar ko shifa dein aur unki beemari ko unke gunah jhadne ka zariya banayen. Ameen!.

Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)
To Top