Aap par Namaz kabse farz hui uska hisab laga lijiye.
Kaunse saal mein aap baaligh hue matlab matured hue uss saal se le kar ab tak kitne saal hue usko count kar lijiye.
Maan lijiye aap 2015 mein matured hue toh tabse le kar abb tak matlab 2022 tak aapko hue poore 7 years toh aapko aapki 7 saal ki qaza namazon ki adaaegi karni hai.
Yaad rahe qaza sirf farz aur witr ki hi adaa hogi.
Iss hisab se ek din ki 20 raka'at ki qaza aapko adaa karni hogi.
Fajr ki 2 farz, Zohar ki 4 farz, asar ki 4 farz, maghrib ki 3 farz, isha ki 4 farz aur 3 witr hui total 20 raka'at.
Ab ek din ki 20 raka'at hui toh poore ek month ki kitni?
20x30=600 Ek Maheene ki 600 raka'at hui toh ek saal ki kitni???
600×12= 7 hazar 200 raka'at ye aapki ek saal ki Namaz hogi.
Ab sochein 7 saal ki kitni hogi?
Iska total 50 hazar ke upar jaaega ye sirf maine 7 years ka total karke bataya hai aap apne dekh lein aap kabse baaligh hue aur aapko kitni raka'at qaza adaa karni hogi.
Ek notebook lijiye usme ek chart bana lijiye jisme poori 1 to 30 or 31 date likh lijiye, Fajr se le kar isha tak jinn namazon ki qaza adaa karni hai unke naam likh lijiye.
Aur iski 12 copies ya jitne saal ki aapki Namaz baaqi hai uss hisaab se uski utni copies Xerox karke apne paas rakh lijiye.
Rozana kam se kam ek din ki ya 2 din ki qaza ada kijiye aur tick karte jaiyye.
Rozana ki namaz mein jo nafl namazein aati hain uske badle aap apni fajr ki qaza adaa kar lijiye aur tick kar dijiye ke aapne iss din ki fajr ki qaza adaa kar di.
Ise adaa karne ka tareeqa kcuh yu hai ke jab bhi aap niyat kare qaza Namaz adaa karne ki jaise maan lijiye aap fajr ki qaza adaa kar rahe ho toh aap yu kahoge "Niyat ki maine 2 raka'at namaz farz fajr ki pehli qaza e umri" aise hi Zohar aur har Namaz ke liye kahenge har baari yahi kahenge ke "Pehli qaza e umri
Jiss bhi waqt ki adaa karte jaaen uss par tick karte jaiyye.
Ye shuru mein thhora mushkil lagega lekin yaqeen kijiye poori ho jaaegi.
Aur Namaz ek aisi ibadat hai jiska suwaal hoga matlab hoga woh kisi halat mein muaaf nahi hai toh isse pehle hamari qaza ki namaz parhayi jaaye matlb janaze ki Namaz parhayi jaae ALLAH kareem ne abhi bhi mauqa diya hai aap apni qaza namzon ko adaa kar lijiye.
Ab aap sabhi shocked ho gae honge ke itni itni sari Namaz kaise adaa hogi???
Ye bilkul mushkil hai lekin na mumkin nahi hai.
Ye itni raka'at ek baari mein toh poori hogi nahi haina? ye thhori thhori karke hi hogi lekin kaise?
Toh ek baat abhi dhyan se parhein ke ye jo bari raatein aati hain jaise shabe Mairaj, aashoora ki raat, shabe bara'at, mohrammul haram ki raatein, bade bade din arfa moharram, ramdaan kareem ki raatein inn raaton mein inn namazon ki adaaegi kiya kijiye.
Ramdaan mein raat ki ibadat bohat zyda maqbool hai ramdaan ki rataon mein qyam kijiye aur apni qaza namazein adaa kijiye.
4 Farz mein toh sirf 2 baar hi surah parhni hoti hai aur aakhri 2 mein toh sirf sureh fatiha hoti hai.
Bohat aasani se ye Namaz ho jaaegi ek baar bas aap shuru kar dein.
Yaad rahe fajr ke ba'ad aap ye Namaz adaa nahi kar skte, sooraj nikal aae phr aap bhale adaa karein.
Bilkul isi tarah asar ki Namaz ke ba'ad aap ye namaz adaa nahi kar sakte maghrib ke ba'ad adaa karein.
Yaad rahe jab tak farz ki adaaegi nahi hogi nafl ka Sawab nahi milega.
Toh badi raaton mein so so raka'atein nafl adaa karne se behtar hai aap pehle apni farz ki qaza adaa karein.
Aur abse ek bhi Namaz qaza na ho iska dyan rakhein ab tak jo namazein chhuti woh nadani mein hua lekin ab agar aap Namaz chhoroge itna kuch jaanne ke ba'ad toh phr aap gunahgar theraye jaaoge.
Koshish karien ek bhi namaz na chhute iski.
Qaza namazein poori kijiye aur aainda ki namazon ko qaza hone se bachaiyye.
Is Post ko sabhi ke sath share kijiye aur dher saari Nekiyan kaamayen
Jazakallahu Khairan