Allah ki Rehmat
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us zaat ki qasam jiske haath me meri jaan hai Agar tum itni khatayein karo ke zameen aur aasmaan ka khala (gap) bhar jaye, phir tum Allah Subhanahu se Astaghfar karo to Wo tumhein bakhsh dega As Silsila As sahiha- 3702- Sahih.
Khushkhabri
Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya Khushkhabri hai us shaks ke liye jo apne Naam e aamal mein kasrat se Astagfar paye (Yani Zyada Astagfar padhe) Sunan Ibn Maja - 3818.
Azaab se Mehfooz
Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya banda us waqt tak Allah Subhanahu ke Azab se Aman mein rehta hai jab tak Allah Subhanahu se Astagfar karta rehta hai Musnad Ahmed - 5483 Sahih.
Gam aur tangi se nijaat
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Astigfar karne ko apne upar lazim karega to Allah subhanhu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har Gam se Nijat dega aur aisee jagah se Rozi ata farmayega jahan se usko Guman bhi nahi hoga. Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1505 -Hasan.
Sayyadul Astagfaar
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya *Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa )* ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai, aur jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai.
Astagfaar karo
أَسْتَغْفِرُ اللهَ
Astaghfirullahal
Tarjuma:- Mai Maafi Mangta hon Allah se.
أَسْتَغْفِرُ اللهَ الْعَظِيمِ
Astaghfirullahal-Azim
Tarjuma:- Mai Maafi Mangta hon Allah se Jo Bahut Azmat wala hai.
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الْعَظِيمَ الَّذِي لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْحَيَّ الْقَيُّومَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Astaghfirullahal-Azim allazi la ilaha illā huwal-Hayyul-Qayyumu wa atubu ilaih
Tarjuma:- Mai Maafi Mangta hon Allah se Jo Bahut Azmat wala h Jiske Aalwa koi bhi Ibadat ke Layak nahi Jo Hamesha se h Aur Hamesha Rahe M usse toba karta hon.
Koi sa bhi padh lena inke alawa aur bhi hain hadees mein.
Allah ka Farman hai - Surah Nuh(71)
فَقُلْتُ اسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ إِنَّهُ كَانَ غَفَّارًا يُرْسِلِ السَّمَاءَ عَلَيْكُم مدْرَارًا وَيُمْدِدْكُم بِأَمْوَلٍ وَبَنِينَ وَيَجْعَل لَّكُمْ جَثْتٍ وَيَجْعَل لَكُمْ أَنْهُرًا مَّا لَكُمْ لَا تَرْجُونَ لِلَّهِ وَقَارًا
Aur kaha kay Apney Parwerdigar say maghfirat maango(Gunah maaf karwao, Maafi mango), yaqeen jano woh boht bakhshney wala hai, woh tum per aasman say khoob barishen barsaye ga, aur tumharay maal aur aulad mein taraqqi dey ga, aur tumharay liye baaghaat peda keray ga, aur tumhari khatir nehren mohaiyya karday ga, tumhen kiya hogaya hai kay tum Allah ki azmat say bilkul nahi dartay-?
Sayyadul Astagfaar
اللَّهُمَّ أَنْتَ رَنِي، لَا إِلَهَ إِلا أَنْتَ خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىٰ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ
Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya, wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
Tarjuma: Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de, beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi. Sahih Bukhari, Vol 7, 6306.