Zinah Se Bachne Ka Waqia - Pyaari Ummat

0
Assalamualaikum Mere Pyaare Bhaio or Behno Is Post Mein Main Aapko Bataunga Ek Nau jawan ka Zinah Se Bachne Ka Waqia. Toh aapse request hai ki is post ko last tak zarur padhen insha'Allah aapko isse bahut kuchh sikhne ko milega aur aapko bahut Fayda Hoga.

Zinah Se Bachne Ka Waqia



Jaise Zinah Karne Ka Azaab Bahot Sakht Hai Waise Hi Zinah Ka Mauka Mile To Usey Chhorne Ka Sawab Bhi Bahot Zyada Hai.


Ek Shaqs To Jo Neik Bhi Tha Or Muttaqee Bhi Tha. Or Vo Har Roz Raat Ko Masjid Me Baith Kar Hadeeso Ka Mutalla Karta Tha.

Har Roz Ki Tarah Vo Hadeeso Ka Mutalla Kar Hi Raha Tha Ki Achanak Tez Baarish Shuri Ho Gayi. Or Usi Baarish Me Ek Khatoon Fas Gayi.

Vo Khatoon Masjid Aakar Us Shaqs Se Madad Mangi Ki Mujhe Yaha Ek Raat Ke Liye Rukne Dijiye Subha Hote Hi Me Yaha Se Chali Jaungi.

Ab Shaqs Soch Me Parh Gaya Ki Agar Me Panah Deta Hu To Shaytan Mujhe Bargalayega Or Khoob Waswase Dalega Or Agar Me Panah Naa Du To Inka Koi Najayaz Faida Uthayega Or Musibate Bhi Aa Sakti Hai.

Ye Soch Kar Usne Us Khatoon Ko Teherne Ke Liye Ijazat Dedi Or Kaha Ki Aap Ek Kone Me Jaa Kar So Jaye Fir Us Shaqs Ke Jaane Ke Baad Vo Khatoon Unhe Chupke Se Dekhne Lagi Or Vo Sochne Lagi Ki Ye Karta Kya Hai Kyuki Vo Khatoon Bhi Muttaqeen Thi Or Unhe Bhi Apni Izzat Ki Fikar Thi.

Jab Khatoon Ne Dekha To Hairaan Reh Gayi Vo Maajra Dekh Kar.

Vo Shaqs Hadeeso Ka Mutalla Karte Huye Apni Ungli Ko Chirag Me Dalta Or Uski Aag Se Jab Ungli Jalne Lagti To Ungli Ko Hata Leta Or Puri Raat Vo Aise Hi Karta Raha.

Vo Khatoon Ye Maajra Dekh Kar Hairan Ho Gayi Or Fazr Ki Azaan Hote Hi Fouran Vo Shaqs Aya Or Us Khatoon Ko Masjid Se Jane Ke Liye Kaha.

Us Khatoon Ne Kaha Ki Allah Ki Kasm Me Tab Tak Nahi Jaungi Jab Tak Aap Ye Na Batao Ki Saari Raat Aapne Apni Ungli Ko Kyu Jalaya. Us Shaqs Ne Kaha Me Nahi Bata Sakta Ye Mera Or Allah Ke Beech Ka Mamla Hai.

Lekin Us Khatoon Ne Zid Nahi Chhori Or Aakhirkar Bahot Zid Karne Ke Baad Us Shaqs Ne Bataya.

Me Jab Hadeeso Ka Mutalla Kar Raha Tha Us Douran Shaytan Mujhe Waswase Daal Raha Tha Ki Zinah Karle, Akeli Aurat Hai Kisi Ko Kuch Pata Nahi Chalega.

Or Mujhe Bargala Raha Tha Koi Nahi Dekh Raha Hai Zinah Karle, Bas Ek Baar Ki To Baat Hai Islye Me Apni Ungli Ko Aag Me Dalta Or Jab Dard Ka Ehsaas Hota To Hata Leta Or Is Tarah Me Khud Se Kehta Ki Agar Ye Bardasht Nahi Ho Rahi To Jahannam Ki Aag Isse 70 Guna Zyada Tez Hai Usko Kaise Bardasht Karunga.

Ye Baat Sun Kar Vo Khatoon Fouran Ghar Gayi Or Apne Waldein Se Kaha. Us Khatoon Ne Apne Waldein Se Kaha Ki Mene Ek Bahot Muttaqee Ladka Dekha Hai Or Me Nikah Karungi To Us Shaqs Se Hi Karungi.

Unke Ghar Walo Ne Khushi- Khushi Uska Nikah Us Shaqs Se Kar Diya. Ye Waqiya Jis Tarah Mene Alim Se Suni Usi Tarah Aapko Bataya Hai Or Ye Waqiya Sach Hai Or Is Tarah Ke Kai Sare Waqiyat Kitabo Me Moujood Hai.

Zinah Bhale Hi Do Pal Ki Khushi De Par KABHI NA KHATAM WALI JAHANNAM KI SAZA BHI SAATH DETI HAI Jab Insan Bade Gunaho Ko Chhorta Hai To Allah Us Insan Ki Badi Badi Dua'e Or Khwahishen Puri Karte Hai Or Duniya Or Aakhirat Me Bhi Khoob Nawazta Hai.


Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)
To Top