Meher Kya Hai ? - Puri Jaankari

0
Meher Kya Hai



Meher Tohfa Hai

Meher asal me ek kism ka tohfa (gift) hai. Jo aurat ko shohar ki taraf se Nikah me diya jata hai Aur is mahr ka hukum Allah ki taraf se tamam momeen ko jo Nikah karte hai un par laazim kiya hai Mahr dena shohar par laazim hai ki woh Nikah ke waqt apni hone wali biwi ko apni hesiyat ke mutabik de na ki apni hasiyat se zayda mehar tay karle aur Nikah ke baad use adaa bhi na kar paye.

Meher Me Insaf

Kuch log mahr me Nainsafi se kaam lete hai jaise mahr ko maaf karwa lena ya pura na dena. Aamtour par yeh bhi aaj kal nikah me deri ki wajah ban gai hai jaise ki ladki ke ghar wale ladki ka mahr uske shohar ki hasiyat se zayda tay kar lete hai aur shohar ke liye use adaa kar pana kabhi kabhi mamumkin ho jata hai. Jabki Allah swt aur uske Nabine mahr ke baare me jo Hukum diye hai woh kuch is tarha hai,

Quran Ki Roshni Mein

Al quran Aur aurto ko unka mahr raazi khushi dedo fir agar woh khud apni khushi se kuch mahr chhod de to shok se khao piyo (surah nisa: 4).
Matlb agar aurat khud maaf karde to kuch masla nahi Al quran aur unka mahr husne sulook se do (surah nisa: 25).

Al quran aur mahr muqarar hone ke baad agar apas me (kam wa besh) par razi ho jao to usme tum par kuch nahi hai (surah nisa 24).

Quran ki in ayaat se wajah hai ki shohar par lazim hai ki aurto ka mahr unko bina kisi bahane ke fouran ada kar diya jaye albatta woh agar khud apni marzi se maaf karde ya kuch chhod de to usme kuch harj nahi hai.

Ahadees Ki Roshni Me

Hadees: Hazrar Abu Salma (رضی اللہ عنہا) kahte hai mene Hazrat Ayesha (رضی اللہ عنہا) se pucha, Nabi (ﷺ) ki biwiyo ka kya mahr tha? unhone kaha 12 aukiya (chandi ke 500 darham hote hai) yeh nabi (ﷺ) ki biwio ka mahr tha. (Muslim).

Hadees: Hazrat Abu Ajfa Salmi (رضی اللہ عنہا) kehte hai ki mene Hazrat Umar (رضی اللہ عنہا) se suna woh khutba de rahe the unhone Allah ki hamd o sana byaan ki fir farmaya,

"khabardar tum log aurto ke mahr me zaydati na karo, agar yeh kaam duniya me Buzurgi aur Allah ke nazdeek parhezgi ka hota to iske mustahiq tumse badh kar Nabi the, halaanki 12 aukio se zayda na to aapne apni biwio ka mahr muqarar kiya aur nahi beti ke se kisi ka kiya" khabardar baaz log apni biwio ka mahr me zaydati karte hai iske dil me aurat ki taraf se adawat baki rehti hai hatta ke woh kehta hai mene teri wajah se sakht taklif uthai. (Ibn majah 1886).

Hadees: aur Mohammad ne ek aadmi se kaha jo Nikah karna chahta tha

"Dekho (mahr ke badle me kuch dene ke liye) fir chahe woh lohe ki ek anghuthi(ring) hi kio na ho. (Bukhari sharif 5030)

Nabine mahr ke silsile me apni ummat ke liye sabse behtreen misaale qaym ki, taaki society me islam ki haqiqat se rubaru karaya jaye aur logo me saadgi ka paigam pohuchaya ja sake.

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)
To Top