Assalamualaikum Mere Pyaare Bhaio or Behno is post mein main aapko bataunga ki Durud Sharif Ki Fazilat Kya Hai. Toh aap is post ko last tak zarur padhen insha'Allah aapko isse bahut kuchh sikhne ko milega.
Allah Ta'ala aur uskey Farishtey Nabi ((ï·º)) per Rehmat bhejtey hain, Aye Imaan waalo! Tum bhi in per Durood bhejo aur khoob Salaam bhejtey raha karo. (Al Quran Surah Al Ahzab 33:56)
Jab Koi Mujhpar Durood bhejta hai to farishte us waqt tak uske liye Rehmat ki Duae karte rehte hai jab tak wo mujh par durood padhta rehta hai, ab bande ki marzi hai ke wo kum padhe ya jyada. (Musnad E Ahmad 5715).
Rasool E Karim (ï·º) Ne Irshad farmaya Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood Bheja Allah Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai. (Tirmizi 485).
Nabi E Akram (ï·º) ne Irshad farmaya Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood e Paak Padha Allah Uspar 10 Rehmatein Nazil Farmata, 10 Gunaah Mitata Hai aur 10 Darjaat Buland Farmata Hai. (Nasai 1297(Sunnah.com}).
Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu kehte hai ke dua aasman aur zameen ke darmiyaan ruki rehti hai usme se zara si bhi upar nahi jati jab tak tum apne nabi par durud nahi bhejte. (Tirmizi 486).
Huzoor Nabi E Akram (ï·º) Ne Farmaya Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum'a Ka Din Hai. Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Paaee Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. (Abu Dawud 1047,Nasai 1374,Tabrani 589, Ibn Majah 1085,Musnad Ahmad 16162).
Rasool E Karim Ne (ï·º) Farmaya "Halaak Ho Wo Shaks Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha.(Tirmizi 3545).
Rasool Allah (ï·º) ne Irshad farmaya "Jo Mujhpe Durood Padha Bhool Gaya Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya. (Ibn Majah 908).
Rasool E Karim (ï·º) Ne Farmaya Bakhil Hai Wo Shaks Jiske Saamne Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha. (Tirmizi 3546).
Rasool E (ï·º) Karimne Irshad farmaya Baroze Kayamat Logo Me Se Mere Karib Tar Wo Hoga Jo Mujhpe Sabse Zyada Durood Padhe Honge. (Tirmizi 484,Imam bukhari ne tareekhul kabeer 559).
Sab se afzal durood Shareef:
اللَّÙ‡ُÙ…َّ صَÙ„ِّ عَÙ„َÙ‰ Ù…ُØَÙ…َّدٍ Ùˆَ عَÙ„َÙ‰ الِ Ù…ُØَÙ…َّدٍ ÙƒَÙ…َا صَÙ„َّÙŠْتَ عَÙ„َÙ‰ Ø¥ِبْرَاهِيمَ ÙˆَعَÙ„َÙ‰ آلِ Ø¥ِبْرَاهِيمَ Ø¥ِÙ†َّÙƒَ ØَÙ…ِيدٌ Ù…َجِيدٌ اللَّÙ‡ُÙ…َّ بَارِÙƒْ علَÙ‰ Ù…ُØَÙ…َّدٍ ÙˆَعَÙ„َÙ‰ آلِ Ù…ُØَÙ…َّدٍ ÙƒَÙ…َا بَارَÙƒْتَ عَÙ„َÙ‰ Ø¥ِبْرَاهِيمَ ÙˆَعَÙ„َÙ‰ Ù„ِ Ø¥ِبْرَاهِيمَ Ø¥ِÙ†َّÙƒَ ØَÙ…ِيدٌ دو مجيده
Allahumma Salle 'Alaa Muhammadinw Wa'Alaa Aali Muhammadin Kamaa Sallaeta 'Alaa Ibraaheema Wa'Alaa Aaali Ibraaheema Innaka Hameedum Majeed. Allahumma Baarik 'Alaa Muhammadinw Wa'Alaa Aali Muhammadin Kamaa Baarakta 'Alaa Ibraaheema Wa'Alaa Aaali Ibraaheema Innaka Hameedum Majeed.
Tarjuma
Aye Allah!! Salamati aur Rehmat Ata farma! Nabi-e-Kareem Mohammad(Sallallahu Alaihay Wasallam) par aur unki aal par, Jis tarha tuney Salamati ata farmayi Ibrahim (Alahi Salam) par aur unki aal par. beshaq tu badi tareef wala aur buzurgi wala hai.
Aye Allah!! Barqat ata farma! Nabi-e-Kareem Mohammad(Sallallahu Alaihay Wasallam)par aur unki aal par,Jis tarha tuney Barqat nazil farmayi Ibrahim (Alahi Salam) par aur unki aal par. Beshaq tu badi tareef wala aur buzurgi wala hai.
Ahadees Me Aur Bhi Bahot Durood Sharif Aaye Hai Lekin Ye Sab Se Afzal Hai Aur Bhi Durud Padh Sakte Hai
Sab se chhota ye durood sharif hai:
(صَÙ„َّÙ‰ اللَّÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ…َ)
Sallalahu Alaihi Wa Sallam.