Assalamualaikum Mere Pyaare Bhai Or Behno. Aap Sab se Request Hai Ki Aap Is Post Ko Last Tak Zarur Padhiye. Social Media Pe Bohat Time Deto ho Aaj Ispost ko Sirf 5 Minutes Do. Inshaallah Bohat Fayda Hoga Aapko.
Qabr Mein Ek Murde Ki Haalat:
Mere samne be shumar janaze uthe the... lekin duniya ki rangeeniyo ne ghaflat ki pati aankhon par baandh rakhi thhi.
Mai bhi aisho ishrat ki zindagi jiya karta thha, ammi se baatein, abbu ki mohabbat, unka gussa, bhai behno se masti, shauhar biwi wali woh mohabbat, doston ki yaari, rozana ki bethak, future ki tayyari, har cheez mai bhi kiya karta thha.
Phir ek din achanak meri zindagi ki aakhri subha aayi, mujhe nahi pata thha ke aaj mera mere apno ke sath aakhri din thha, mujhe nahi pata thha aaj jo meri maa ke paas mai betha hoon ye bass kuchh pal ke lamhe hain, mere abbu, bhai bahen, mere doston ke sath meri aakhri ghariyan hain mujhe toh door door tak gumaan nahi thha ke mai zindagi mein hone wali har cheez bas last time kar raha hoon iske ba'ad mera asl thikana qabr hai.
Mujhe kya pata thha mere narm narm bistar mujhe aaj aakhir baari mile thhe, abb toh mera bichona ye mitti se bhara, khauf aur darr se bhara chhota sa gaddha hai, mujhe kya pata thha abse mai iss chhote se garhe mein Qayamat tak ke liye aa gaya hoon, haaye aaj se mujhe sooraj ki Roshni dekhne ko nahi milegi, haaye aaj se woh thandi thandi hawayein, woh mere shaher ki jag mag jag mag raatein dekhne ko nahi milegi, ya ALLAH abse mere kaano mein azaan nahi aaegi, mujhe abb sajda karne nahi milega ye maine kya kar diya? Maine apni zindagi kahan barbad kar di mujhe bahar nikaal de mere ALLAH ek mohlat de de ke mai tujhe sajda kar sakun.
Mere Muslim brothers and sisters ye maine ek chhoti si koshish ki ek murde ke ehsasat bayaan karne ki baaqi murde ka haal murde ke siwa koi nahi jaanta!
Ye sirf ek reminder ke taur par aur ye bataane ke taur par post banayi hai maine ke Al hamdu lillah hum abhi bhi kitne qismat wale hain ke hume abb bhi mauqa diya gaya hai sachi tauba aur ALLAH ki ibadat karne ka please ise uss murde ki tarah barbaad mat kijiye jisne apni zindagi ghaflat mein guzaar di.
Chaahe jitne aapke gunah hue hon ALLAH se sacchi tauba kijiye aur aainda woh kaam nahi karoge aisa pakka ehed kar lijiye aur koshish kijiye ALLAH ta'ala ko raazi karne wale kaamo ko karne ki.
Sabse pehle toh apni sohbat, sangat (Company) change kijiye trust me ye bohat affect karti hai acchi sohbat jannat mein le jaaegi wahin buri sohbat jahannam ki dastak ho sakti hai.
Timetable bana lijiye mujhe ye ye kaam ALLAH ko raazi karne ke liye karne hai matlab karne hain.
Rozana zikrullah kijiye unlimited limit na ho aisa zikr labon par rakhiye.
5 waqt ki Namaz kisi bhi halat mein nahi chhorni hai bhale kahin bhi hain hum, apna salah matt, za Namaz sath le jaaen jahan jagah mile parh lein logon se sharmae na!
Qura'an e kareem ka chalein ek poora par na parhein lekin kam az kam ek rukoo hi parh lein please!
Uss Qur'an E Kareem ko kholein jo Ramadan se bandh rakha hua hai please! Use uthaen seene se lagaaen aur choome aur phir parhiye.
Koshish kijiye roz raat ko kuch na kchh tarjuma aur tafseer samjh kar parhne ki atleast ek aayat?
Sadqa dijiye, logon par raham kijiye, unse dua'aen lijiye beshak ye bhi ibadat mein shamil hai.
Apni niyaton ko saaf Suthra rakhein raayi ke daane ke barabar bhi agar kisi ke liye gandgi hui toh yaqeen kijiye ALLAH ko nahi paa sakoge.
Qabr mein ja kar pachtana pare aise Aa'amal jama mat kijiye, bohat mukhtasar si zindagi hai bhai kab tak sirf sunte sunaate rahenge chalein na aaj sacchi tauba karte hain apne RAB ki baargah mein ro ro kar maafi maangte hain aur dil mein pakki niyat karte hain ke abb aainda ALLAH ta'ala ko naraz nahi karenge Insha ALLAH.
ALLAH ta'ala hum sabhi ko sunne sunaane se zyada amal karne ki taufeeq ata farmaye Ameen
Musalmano ko share kijiye kya pata kiski aankhein ghaflat ki neend se khul jaae aur use hidayat naseeb ho jaae sirf aapki wajah se.